Hamesha chahte the rehna tanha
Phir aaj tanhaai kyun itni khal rahi hai?
Is dil ne to dhadakna chod hi diya
Par kambakhat saansein ab tak chal rahi hai...
Gamke gherone zindagi ka gala ghont diya
Socha ab jeeke kya karenge jab khushi ne hi humse muh mod liya.
Phir ek din kisi ke kadmo ki aahat ne humein phir jeene ka maksad diya
Par jab jaana ki kiya tha anjane mein rukh humari aur un kadmon ne,
To humne saans lena hi chod diya
Saath chalne ka vaada kar ke
Jaane kyun chale gaye saath chod ke
Woh to badh chale apni manzil ki aur
Humein raah mein khada chod ke
Har pal jo bitaya unke pyar mein woh yaad karke
Jee lenge hum zindagi bhar unka intezaar karke
Kyunki jab dil lagaaya tab maalum na tha
Kabhi pachtava bhi hoga unhe humse pyar karke
Jab saamne the woh, hum doob jaate the unki aankhon mein
Honth sil jaate the, jab bhar lete the woh apni baahon mein
Aaj na woh aankhein hain, na woh baahein,
Phir bhi haal wohi hai humara, khokar unki yaadon mein
Sunday, June 28, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.